Monday 26 October 2015

Devdasi Pratha

Namestay ,
aaj jo mai share karney ja rahe hu vo ho sakta h kuch had tak aap logo ko takleef de par mujeh lagta h ki hamey aise baato ko jaana jaroore h jo aaj bhi chal rahe h jisey ham pratha kehtey h .
is Bharat desh mai na jane kitne pratha aaye aur kitne gaye kitney logo ne iska sahyog diya ya kitney logo ne iska  saath chor diya aise mai he ek aur pratha h jo aaj bhi kahin na kahin sihmit h jiska naam DEVDAASI PRATHA h . bhog ki vastu samjhey jaane waali mahilao (women) ka bagwaan ke naam par upbhog aaj bhi nirantar kiya ja raha hai .ye jayeda tar south mai hai . karnatak ke paas he ek hanuman mandir h jaha par holi ke samaye dopehar ke waqt badey badey log mandir atey h aur aap ko pata h unke manoranjan ke liyea dalit mahilao ka isteymall kiya jata h . fir uneh pardarshi kapdey pehna kar un badey logo ke saamney khada kr diya jata h aur fir unke asmita ko pairon ke taley masal diya jata h . ye pratha badey logo dwara suru ki gaye the jismey logo ka ye maana tha ki jb bhi kisi ke ghar ladki paida ho aur uske umar lagbhag 9 ya 12 ho usey mandir mai daan kr dena chaheyea tabhi uneh moksh ki prapti hogi . is andhvishwaas ne na jane kitne ladki ko devdaasi bana diya . devdasi ka matlb ek aise ladki jisey bagwaan ko saup diya uska uske parivar se koi rista nhi h usey bs vahe us mandir mai bagwaan ki pooja karne h aur apne saare kaam vahe karna h vo bagwaan ki beti h matlb koi bhi usey apne havas ka shikaar bana sakta h kyo ki vo ab bagwaan ki h .
vaise ye pratha 1985 mai khatm hue to jaroor the lakin pure tarah se nhi iske jhalak pure dakshin aur purvi mai dikhti h aaj bhi dakshin mai 30,000 tk aise ladkiya h jo devdaasi ban chuke h .
bagwan ke naam par apne havas ka shikar karta h yaha ka purush samaaj . maa baap apne betiya ko bagwaan ke naam pr daan kar dete h lakin purush pradhan hamara samaaj yeh soch kar uska upbhog karney lagta h ki ye sab bagwaan ki iccha se ho raha h , veh us mahila ke saath kuch bhi karney mai savtantra h. dekhney waali baat to ye h is pratha mai aamtaur par dalit , sc , st , obc pichdey varg ke gareeb ladkiyo ko iska zareya banaya jata h .waah re dohrapan !!!.. jis varg ke log mandir mai pair nhi rak saktey , us varg ki ladki is yog jaroor maane jati h jo pujariyo ki aur gao ke bade logon  ke vilaas ka zariya ban sakey .
DEVDASI ke naam se ye jaane waali pratha yu bharat ke itihaas mai pramukh  se vidayavaan reh rahe lakin aaj bhi hyderabad mai aur telangana mai dalit ladki ka devdaasi bananey yani  devi-devtao ke naam par mandir mein chore jane jaise pratha ka anusaran kiya jata h .
aaj ka purush samaaj apne icchapurti ke liyea kisi bhi had tak ja sakta hai kbhi kisi ne socha bhi nhi hoga , kya bagwaan se bhi inko dar lagta h ? is shoshan se se jo bhi bacchey paida hotey h uske saare zimeedari uske maa ki hoti h . par yeh kitna galat hai ki galti purush karey and saza sirf mahila ko miley .
iska ekmaatra yehe karan ho skata h ki ye parivaar na to aarthik roop se sabel hotey hai na he virodh ke awaaz uthaney ke yog.aise parivaar sirf is baat par khush rehtey hai ki usney apne beti ishwar (god) ko daan kar di hai jiske badley uneh apney parivaar ke bharan -poshan ke liyea kuch paise mil rahe hai . yeh sarasar vaishyavirti hai ... lakin hamara samaaj bas aakhein band kar key isey bagwan ki marji samjh kar chup chaap bhitha h .
sharm aati h jb ye hm sirf bade bade baatein kartey h us pr padhai kartey h aas paas aise prathayein jab tak nhi khatam hogi tab tk desh ka choro ladkiyo ka vikaas nhi ho payega . jb tak ham nhi samjhegye jb tak ham aise prathao ke baare mai nhi jaan payegye tab tk ham kuch nhi kar saktey h sirf dekh saktey h aur majak bana saktey h . pata nhi kitne ladkiya h jo devdaasi ban chuke h jo azaad hona chahti h unke zindgi bs chaar diwaaro mai band ho chuke h bheekh maang rahe h lakin uneh vaha se nikaalney waaley log kam aur sochney waaley log bahut h . ab aur kitna sochna baaki h ????? ye sb bhi hamare he desh ke h aur kahin na kahin ham mai se he koi ek h jo aaj bhi bs isi aas mai h ki kb is kaid se bahr nikley aur khuli hawa mai saas le sakey .




No comments:

Post a Comment